Sunday 13 February 2011

aaj banayein bhi to kaise



zindagi ke diye dard ko chupayein bhi to kaise....
ankhon mein ate huye aasu ko rok payein to kaise..
beet chuka hai jo kal mera...us kal ko aaj banayein bhi to kaise .....


mana ankhon ne dikhayein thay sapne kai....ho gayi thi meri manzil vahi........
waqt ke bhavar mein kho gayi rahein meri.......tut chuke un sapno ko ab haqeeqat banayein bhi to kaise....veeran se meri zindagi me ab bahaar layein bhi to kaise....


muqaddar ne bhi chod diya ab sath mera........mit gaya naam jo kabhi tha mera....bikhare hue naam ko phir se jod payein to kaise...sukhe dariya mein naav chalein bhi to kaise......


seekh raha hun fir se chalana....dekh kar un behte jharno sa behana.......tufan se ladate us peed sa sehana....taqdeer ko tadbeer se badalna......seekh gaya hun ab, ki roti ankhon ko hasai bhi to kaise....gum-e-zindagi mein muskurayein bhi to kaise.....

Haan....mein tujhse pyar karta hun


Tere dil ke jazbaton ki mein parvaah karta hun...


tujhe chu kar behne vali hava ko saanso mein bharleta hun....


milti hai dil ki khusi jub tujhe muskurate dekhta hun...


kahin ye such to nahi ki mein tujhse pyar karta hun...





Hoti hai gar tu udas to mein bhi udas hota hun...


roti hai agar tu to mein bhi ankhein num kar leta hun..


ati rahe hasi tere labon par din raat rab se dua karta hun...


kahin ye such to nahi ki mein tujhse pyar karta hun...





Duur jati thi jub mujhse tu bheed mein bhi kyu akela rehta hun....


teri yaad mein q din raat khoya rehta hun...


dard hota hai jub bhi seene mein to teri tasveer se keh deta hun...


kahin ye such to nahi ki mein tujhse pyar karta hun...





Chod diya tune aaj mera saath mein phir bhi chup rehta hun....


dil se behte hue lahu ko dil mein roke rehta hun...


zindagi khushiyon se ho bhari teri akhiri dua karta hun…


haan yeh such he tha ki mein tujhse pyar karta hun...